Shiddat Title Track

Manan Bhardwaj

tujhko bana doon main apna khuda
aur sajde tere kar sakun
maangu dua saath hone ki tere
kaandhe pe sar rakh sakun

dhaaga ik bandhu tujhko mannat bana loon
kagaz pe dil ke teri surat bana loon
chhute kabhi na woh aadat bana loon
aa shiddat bana loon tujhe

qismat bana loon meri chahat bana loon
dil se main maangu ibadat bana loon
chhute kabhi na woh aadat bana loon
aa shiddat bana loon tujhe

kyun yeh hadein hain
yeh kyun sarhadein hain
itne hai kyun faslein
manzil teri meri jab ek hai toh
kyun hai alag raaste

ishq ki aisi kahawat bana loon
paani pe likh doon likhawat bana loon
goonje sada woh aahat bana loon
aa shiddat bana loon tujhe

dil ki main tujhko sajawat bana loon
kuchh bhi na boloon muskurahat bana loon
barse khuda ki woh barkat bana loon
aa shiddat bana loon tujhe

qismat bana loon meri chahat bana loon
dil se main maangu ibadat bana loon
chhute kabhi na woh aadat bana loon
aa shiddat bana loon tujhe

yeh khara samundar mera gawah hai
ishq hai mera ya mera gunah hai
tujhko saja aur adalat bana loon
aa shiddat bana loon tujhe

Tracker

All lyrics are property and copyright of their owners. All lyrics provided for educational purposes only.