Likho Padhoge To Aage Badhoge

Lata Mangeshkar

b se bolo kyaa hotaa hai
bahaadur

( likho-padhoge to aage badhoge
sitaaron se uunchaa tumhaaraa hogaa naam ) -2
samajhe naa

chhuttii mile to khilaunon se khelo -2
jaldii se phir tum kitaabon ko le lo -2
jii naa churaayo
baatein naa banaayo
jaahil rahoge to hoge badanaam

likho-padhoge to aage badhoge
sitaaron se uunchaa tumhaaraa hogaa naam

alif se bolo kyaa hotaa hai ulluu
an an imaan
duniyaa mein dekho imaanadaar rahanaa -2
jhuuth nahi achchhaa sadaa sach kahanaa -2
dil ko kisii ke tum na dukhaanaa
aisii hii nekii karo subah-shaam

likho-padhoge to aage badhoge
sitaaron se uunchaa tumhaaraa hogaa naam

achchhaa bolo b se kyaa hotaa hai
bandar
bahaadur
banake bahaadur tum apane vatan ke -2
nigehabaa haan rahanaa tum apane chaman ke -2
isko sambhaalo gale se lagaa lo
ho aazaad ab to na honaa phir gulaam

likho-padhoge to aage badhoge
sitaaron se uunchaa tumhaaraa hogaa naam

achchhaa munnaa bolo te se kyaa hotaa hai
tiitar
taqadiir
taqadiir kyaa hai tum isako bhulaa do -2
ilm hunar se andhere mitaa do -2
badhate chalo tum qadam ko milaa ke
phir aayegii manzil karegii salaam

likho-padhoge to aage badhoge
sitaaron se uunchaa tumhaaraa hogaa naam

m se bolo kyaa hotaa hai murgaa mazaduur
mazaduur nikale hain taan ke siinaa -2
tum bhii karo kuchh aur siikh lo jiinaa -2
mehanat karoge samajhe haan
to phal bhii milegaa
badon ne kahaa hai aaraam hai haraam

Tracker

All lyrics are property and copyright of their owners. All lyrics provided for educational purposes only.