Ra-ra-ra, ra-ra-ra
Ra-ra-ra, ra-ra, ra-ra-ra-ra
Tumhara mera milna likha toh hoga kahin
Naseebon ka sitara mila toh hoga kahin
Na jaane kyun, ae humnasheen
Hai mere dil ko ye yaqeen
Ki tum sang ho toh bigdi baatein saari ban jaayengi
Tum jo hans do, roothi raatein saari man jaayengi
Tumse behtar, tumse pyaara, yaara, koi nahin
Aasmaan pe tumse roshan taara koi nahin
Tumse behtar, tumse pyaara, yaara, koi nahin
Aasmaan pe tumse roshan taara koi nahin
Tumse behtar, tumse pyaara, yaara, koi nahin
Aasmaan pe tumse roshan taara koi nahin
Raaton mein bina tumhare ghabraayein, haan, ghabraayein
Khwaabon mein milo agar, khush ho jaayein, ho jaayein
Chain ho tum, aaram ho shayad
Koi sukoon ki shaam ho shayad
Khushi kahun ya dil ki tasalli
Kya tumhe doon main naam
Kitaabein dekhi saari, mili na koi shayari
Taareefein karun kaise, yahi hai mushkil meri
Na jaane kyun, ae humnasheen
Hai mere dil ko ye yaqeen
Ki tum sang ho toh bigdi baatein saari ban jaayengi
Tum jo hans do, roothi raatein saari man jaayengi
Jo daraayein, woh hawaayein gham ki tham jaayengi
Tumse behtar, tumse pyaara, yaara, koi nahi
Aasmaan pe tumse roshan taara koi nahin
Ra-ra-ra, ra-ra-ra
Ra-ra-ra, ra-ra, ra-ra-ra-ra
Dekho na ye kamaal hua hai
Aisa dil ka haal hua hai
Dil mera tere itra mein dooba
Jaise koi roomal hua hai
Aisi hai khwahish dil mein mere
Jaane mujhe sab naam se tere
Aisi deewangi pehle nahin thi
Haal ye pichle saal hua hai
Tumse behtar, tumse pyaara
Tumse behtar, tumse pyaara, yaara, koi nahi
Aasmaan pe tumse roshan taara koi nahin
Koi nahin tumse behtar, haan, tumse pyaara
Haan, tumse zyada mera koi nahin