Meri Tanhaiyon Mein

Arijit Singh

meri tanhaiyon mein
tumhara hi naam hai
tumne suna kya

bas tumko dekhna
mujhko pasand hai
ye tumko hai pata kya

ye lamhe ba-khabar hain
humari chaahaton se
aur mujhko khumaar hai bas
tumhare deedar ka
tumhare deedar ka
tumhare deedar ka
tumhare deedar ka

aa titliyon se ye lamhein sawaarein
yaadon ki dibiya mein inko utaarein
fursat mein baithe hum
dono chalte wahaan
ho subah ka na shab ka nisaan

meri angdaaiyon mein
tumhara hi naam hai
tumne suna kya?

bas tumko dekhna
mujhko pasand hai
ye tumko hai pata kya

befikri hi ho ek sang humaare
duniya ki na ho, haan parwah jahan pe
aise hi sapne dekhe dil bezubaan
sajde mein tere ho, hai ye duaa

meri parchaiyon mein
tumhara hi naam hai
tumne suna kya

bas tumko dekhna
mujhko pasand hai ye
tumko hai pata kya

Tracker

All lyrics are property and copyright of their owners. All lyrics provided for educational purposes only.