Maile ho na jaaein paanv
Chalte rehna chhaanv-chhaanv
Chhodo bhi ye shehar purana
Chal, chalte hain dhoop ke gaanv
Maile ho na jaaein paanv
Chalte rehna chhaanv-chhaanv
Chhodo bhi ye shehar purana
Chal chalte hain dhoop ke gaanv
(Dhoop ke gaanv)
Suniyye, aap is dhoop mein kitni achhi lagti hain
(Achhi lagti hain)
Aap is dhoop mein kitni achhi lagti hain
(Achhi lagti hain)
Aur kuch der zara yun hi baithe rahiye
Suniyye, aap is dhoop mein kitni achhi lagti hain
(Achhi lagti hain)
Achhi lagti hain
Aap naraaz hon toh aur haseen lagti hain
Aap jo bhi hon, zameen ki toh nahin lagti hain
Jhoothi-moothi rooth ke kitni sachhi lagti hain
(Sachhi lagti hain)
Aur kuch der zara yun hi roothe rahiye
Suniyye, aap is dhoop mein kitni achhi lagti hain
Maile ho na jaaein paanv
Chalte rehna chhaanv-chhaanv
Chhodo bhi ye shehar purana
Chal chalte hain dhoop ke gaanv
(Dhoop ke gaanv)
Jahaan baithe wahaan dhoop bichha leejiye-ga
Paanv se chhaanv zara khiska deejiye-ga
Suniyye, aap is dhoop mein kitni achhi lagti hain
(Achhi lagti hain)
Aur kuch der zara yun hi baithe rahiye
Suniyye